Bar bar main tumhe pukaru
Bar bar main tumhe pukaru he sadguru sarkar
Tum bin swami doobat naiya hamar
Gahari nadiya naav purani bojha agam apar
Vishay dhar me naav na thahre rou jar bejar
Main matimand kachhu na janu koi na khewan har
Tooti footi naav hamari kaise lage kinar
Tum bin swami......
Main nirbal kachhu bal nahi more prabal vishay bayar
Aap sagun bhagwant roop hai kheya lagao par
Tum bin swami......
Bahut dino se aas lagaye nirkhu raah tumhar
Daya karo he naath dayanidhi jeevan hai bekar
Tumhare sharan me pada hai balak prabhu ji kheya lagao par
Main matimand kutil khal kaami papin me sardar
Tum bin swami......
Karke kirpa mujhe ubaro doobat hu majdhar
Vikaldas ab doob raha hai haath lev patwar
Tum bin swami......
Comments
Post a Comment