Terj:-Chhaila babu tu kaisa dildar nikla

Indra tera yah kaisa e maan nikla
Devta ki jagah par shaitan nikla

Kiya chhal tune aa soona ghar pakar
Mere dware par chanda ko murga banakar

Yad aaya nahi ye ghar hai kiska
Apne man me na dahsak hai laya kisi ka

Devraj jo kaha tha o be e maan nikla
Devta ki jagah par shaitan nikla

Kiya tha tune ye sab ek bhog ke khatir
Le mera shrap hove hajar bhag tan par

Jaisa kaam kiya uska phal hai yahi
Taki tu na rahe mukh dikha kar kahi

Shrap dekar mera ye armaan nikla
Devta ki jagah par shaitan nikla

Bole phir dev indra kshama mujhko karna
Meri trutiyo ko kabhi dhyan me na rakhna

Mujh par daya ki kshama karo naath tum
Taki surlok me mukh dikhau jakar

Kavi vinod ka sahi ye bakhan nikla
Devta ki jagah par shaitan nikla

Comments

Popular posts from this blog

Gajanan tumko main kaise manau

Batawa janani ram kahiya le aihain