Terj:-Sajan mera us paar hai

Mandir tera saryu paar hai,rama leela aprampar hai¤

Bhakto ne jab-2 tera naam liya
Girte ko tumne bhagwan tham liya

Tu hi to daya ka bhandar hai
Mandir tera saryu paar hai
Rama ki leela .........

Darshan ko tere prabhu aaye hain
Man me murade bhari laye hain

Bhagwan to nirakar sakar hai
Rama ki leela ........

Duniya se oocha tera dham hai
Santo ko sab path ka paigam hai

Mandir me ho rahi jai jai kar hai
Mandir tera saryu paar hai

Dil se prabhu ji ko jisne chaha hai
Usne jag me tum ko paaya hai

Kadmo me prabhu le sansar hai
Rama ki leela .........

Comments

Popular posts from this blog

Gajanan tumko main kaise manau

Batawa janani ram kahiya le aihain