KAUWALI

Kaisa sundar jann tumko heera mila
Tum unhe gar bhulao to main kya karu
Ram ka naam mukh se liya na kabhi
Vyarth jeevan gavao to main kya karu

Fas ke maya ke fande bhula sab diya
Kabhi bhagwan ka bhakti kiya nahi
Tu bhatakta idhar ka udhar roj din
Lakh chaurasi jaye to main kya karu

Maas madira hamesa tu khata raha
Aur sathiyo ke man ko lubhata raha
Tere jeevan ki naiya bhawar me padi
Beech me gota khaye to main kya karu

Maar dandon se yamdoot devenge jab
Baap beta na koi dikhai rade
Ghar ki triya talak saath degi nahi
Us dam aasu bahaye to main kya karu

Ram ka naam bhulane se sab dukh mile
Khote karmo ki tab yad aave nahi
Kahte das vinod karni ka fal mila
Mukti phir na paye to main kya karu

Comments

Popular posts from this blog

Gajanan tumko main kaise manau

Batawa janani ram kahiya le aihain