KAUWALI

Jo kuchh mujh par gujarti na puchho
Kuchh batane k kabil nahi hai

Shyam ne is kadar julm dhaye
Jo sunane k kabil nahi hai

Prem ki aag dil me lagakar
Dur najaro se wah ho gaye hai
Kya pata tha ki bedard mohan
Dil lagane k kabil nahi hai

Unhi k viyog me bani hu viyogan
Rote rote nayan jal bhi sookha
Chahta hu unhe bhool jau
Par bhulane k kabil nahi hai

Kabhi main unki thi wah hamare
Aaj kyo kar rahe hain kinare
Kya karu dil se majboor hu main
Wah yad aane k kabil nahi hai

Virah me rat din main tadapti
Magar unko daya bhi na ati
Kavi vinod raham mera dil hai
Raham khane k kabil nahi hai

Comments

Popular posts from this blog

Gajanan tumko main kaise manau

Batawa janani ram kahiya le aihain