Man laga jisne bhaja ek bar sita ram ko
Tar gaya aur pa gaya hai wohi mukti dham ko¤

Meera baee tar gayi jab hari ko apna kar liya
Tar gaya sadana kasai bhaj ke sita ram ko

Soor tulsi tar gaye,papini ganika tari
Bhilani shabri tari hai,jab japa hari naam ko

Pootana bhi tar gayi tar,dekar jahar bhagwan ko
Chinta mani kar prem prabhu se pa gayi surdham ko

Kahke narayan ajamil,tar gaya kahte vinod
Prem se sumiran kiyo,govind karuna dham ko¤

Comments

Popular posts from this blog

Gajanan tumko main kaise manau

Batawa janani ram kahiya le aihain