Tyag do sab burai bhalai karo,ek din is jagat se chale jaoge
Karm jaisa bhala ya bura ho koi,ant me uska phal tum swyam paoge

Ram Rawan ka adarsh seekho sabhi,naam bete ka Rawan na rakhte kabhi
Dekho geeta ramayan me praman hai,Ram k naam se mukt ho jaoge

Kahte Rawan ko sab koi paapi bada,is liye usko dukh bhogana hi pada
Jag me do marg hain dharm aur adharm,jao jis marg pe vaisa kahlaoge

Kans au Krishna ka dekho praman hai,dusht tha kans ka bhi kalyan hai
Kans k naam se sab ashubh mante,Krishna ka naam kaira harshaoge

Bikal das kahte hain sab ke liye,koi mane na mane kahke chal diye
Beej dukh sukh ka daloge jaisa koi,aakhiri me wahi tum sabhi paoge.

Comments

Popular posts from this blog

Gajanan tumko main kaise manau

Batawa janani ram kahiya le aihain