Posts

Showing posts from 2012

Nibiya tare thadhi ambey maiya

Nibiya tare thadhi ambey maiya Nirdhan ko dhan dehalu jane sari duniya Bajhin ke lal dehalu jane sari duniya Andha ko aakh dehlu jane sari duniya Kodhi ke kaya dehlu jane sari duniya Nibiya tare thadhi ambey maiya

Darshan ko akhiya pyasi dil me nahi

Darshan ko akhiya pyasi dil me nahi chaina he maee mor ehe sapna he maee.... Moh maya ko maee sab bhulawali Aake tohari se nehiya lagawali Swarath ke ba maya nagari Na bate koi apna He maee mor ehe..... Tohare chaukhat pe mastak jhukay ke Tohake pujbe ham sabke bhulay ke Ekre siwa hai he jag janani Aur nahi kuchh kahana Maee.....he maee...... Tara rani ji ke tu taral bhole ke mukti banaul Dhwaja ke oopar maiya tohare baithe Pawan ke lalna Maee ho....he maee..... Singh pe maa ki sushobhit sawariya Bheed bhaktan ke lage duwariya Devta karle poojan archan Aur daan bate gahana Maee ho ...he maee..... Brahma vishnu aur shankar he maiya Aake sankat me dete duhaiya Tohari kirra se raja bali maa geet ke kaile rachana Maee .....he maee

Terj:-Amawa mahuwawa ke jhoome dariya

Ram k darash bin vyakul maiya Tani daida darshanwa hamar maiya Raja Dashrath ji pran tajat hain Ram ka dekhay da ek beriya Tani daida......... Saare Awadh pur k wasi dukhi hain Sabse dukhi hain Bharat bhaiya Tani daida......... Saare Awadh pur ke wasi dukhi hain Unka manaway chale Bharat bhaiya Tani daida.........

Terj:-Mere angane me tumhara kya kaam hai

Meri ambey maiya ka jag me bada naam hai Jag me bada naam hai duniya me bada naam hai Sharan me jo lag jaye duniya se kya kaam hai Meri ambey maiya ka jag me bada naam hai Jiski naiya beech bhawar me atak jati hai Usko meri maiya laga deti paar hai Meri ambey maiya ka jag me bada naam hai

Terj:-Main tulsi tere aagan ki

Main pyasa hari charnan ki, das hoon main hari charnan ki¤ Main...... Char dinan ka wada kar gaye, dekhat -2 saal nikal gaye Aaee khabar na aawan ki¤ Main...... Tan man tumko saup chuka hoon, daras ko ab tere oob chuka hoon Chaah nahi ab jeevan ki¤ Main...... Khat na diya sandesh na bheja, ab to gam se fat ta kaleja Dhool niharoo galiyan ki¤ Main....... Aasha prabhu ka chhoot gaya hai, tumse nata toot gaya hai Chaah tere bas darshan ki¤ Main......

Terj:-Mar diya jaay ki chhod diya jaay

Doha:- Dil ko to liye jaat ho hare jaat ho pran Tumhare bin pati ji mere jeevan maran saman * * * * Pyar chala jaay sukh sansar chala jaay Pati ke bina patni ka shringar chala jaay Jaise varsha ke bina ho sawan,vaise pati ke bina patni abhagan Kaisa dastoor hai luta sindoor hai,leke pati ko apne saath jao na Ijhar chala jaay ya ikrar chala jaay Pati ke bina...... Kab aagan padega mere palna,usme jhoolega mera lalna Maag sindoor lal bhal bindiya vishal,lal ka khyal dil se bhulaye na Uspar chala jaay ya ispar chala jaay Pati ke bina...... Bole Yam kirti ujjwal tumhari,100 beto ki bano mahtari Beti dhar dheer man maan hamari vachan,saas aur sasur andhe kahay na Upkar chala jaay ya aavishkar chala jaay Pati ke bina......... Boli savitri sun yam ki bani,vyarth me aapne ki meharbani Lagegi jeevan me aag mathe me kara daag,pati ke bina putra suhay na Yamraj chakraye,man me hai ghabraye Pati ke bina..........

Bar bar main tumhe pukaru

Bar bar main tumhe pukaru he sadguru sarkar Tum bin swami doobat naiya hamar Gahari nadiya naav purani bojha agam apar Vishay dhar me naav na thahre rou jar bejar Main matimand kachhu na janu koi na khewan har Tooti footi naav hamari kaise lage kinar Tum bin swami...... Main nirbal kachhu bal nahi more prabal vishay bayar Aap sagun bhagwant roop hai kheya lagao par Tum bin swami...... Bahut dino se aas lagaye nirkhu raah tumhar Daya karo he naath dayanidhi jeevan hai bekar Tumhare sharan me pada hai balak prabhu ji kheya lagao par Main matimand kutil khal kaami papin me sardar Tum bin swami...... Karke kirpa mujhe ubaro doobat hu majdhar Vikaldas ab doob raha hai haath lev patwar Tum bin swami......

Terj:-Chhaila babu tu kaisa dildar nikla

Indra tera yah kaisa e maan nikla Devta ki jagah par shaitan nikla Kiya chhal tune aa soona ghar pakar Mere dware par chanda ko murga banakar Yad aaya nahi ye ghar hai kiska Apne man me na dahsak hai laya kisi ka Devraj jo kaha tha o be e maan nikla Devta ki jagah par shaitan nikla Kiya tha tune ye sab ek bhog ke khatir Le mera shrap hove hajar bhag tan par Jaisa kaam kiya uska phal hai yahi Taki tu na rahe mukh dikha kar kahi Shrap dekar mera ye armaan nikla Devta ki jagah par shaitan nikla Bole phir dev indra kshama mujhko karna Meri trutiyo ko kabhi dhyan me na rakhna Mujh par daya ki kshama karo naath tum Taki surlok me mukh dikhau jakar Kavi vinod ka sahi ye bakhan nikla Devta ki jagah par shaitan nikla

Terj:-Ladke hain muhalle ke

Bhole naath bade dani main ka karu Kahat hi gaura apne sakhin se Baithe bhagiya thani main ka karu¤ Bhashma sur ek bhahat bhayo hai Var payo man mani main ka karu Kat ke aapan mood chadhayas Var payo man mani main ka karu Tab mohani murat dharev narayan Bhasham bhayav agyani main ka karu Kahat hi gaura apni sakhin se Baithe bhagiya thani main ka karu Bhole naath.......

Terj:-Wafa na raas aaee

Na jeete raghurai wo shero wali maee Sar me tha asar sar katate sar Sar me ari sar-2 kaee¤ Na jeete...... Sar me na kasar the raghuwar ke Sar sar lekar ud jate the Sar me shiv poojan ka tha asar Sar kat ke phir jud jate the Samasyao ka hal tapasyao ka phal Ravan ko hasi hai aaee¤ Na jeete........ Sar ko chhodo sar ki or Nabhi ki or mod prabhu Sar agar nabhi ki or muda To yah dam dega tod prabhu Na kariye khed kahu saaf bhed Vibhishan ne jugati bataee¤ Na jeete......... Na muda teer nabhi ki or Shakti ka kiya tab aawahan Aaee shakti teer dehi jama liya apna aasan Jhuk gaya teer nabhi cheer Kaun tu vijay hai paee¤ Na jeete........

Terj:-Kaune disha me leke chala re

Vairee bharat sena ke sanhariya Bhaiya aata hai idhar ham baithe hain jidhar mohe maran de Bole raghurai jara dheer dharo bhaiya aisa abhi na tu kar jara thahar abhi aawan de-2¤ Hamse bharat yu rar karega hota na vishwas hai Aake ladai aaj karega hota na mujhe aas hai Aata hai jo aaj samne shayad bate khas hai Roke jani-2 roko mujhe roko jani bhaiya kahi gaye jo thahar Wah dhayega idhar mohe maran de Aaj tak mujhko rok rakhe par aaj na mujhko rokana¤ Hai saugandh aap ki maiya aaj hame na tokana Mar jaoo ya maar giraoo iska hame na khauph hai Bole raghurai jara dheer dharo bhaiya jara thahar-2 Aisa abhi tu na kar use aawan de-2 Aakar ke shree bharat lal ne raghuwar ko pranam kiya Prem se apne gale laga kar pyar unhe shree ram kiya Aashu ki varsha nayano se karuna nidhi bhagwan kiya O.P.J.lakhan kai fek kai dhanuhiya khade hain bhagal gire charnan me¤

Terj:-Sajan mera us paar hai

Mandir tera saryu paar hai,rama leela aprampar hai¤ Bhakto ne jab-2 tera naam liya Girte ko tumne bhagwan tham liya Tu hi to daya ka bhandar hai Mandir tera saryu paar hai Rama ki leela ......... Darshan ko tere prabhu aaye hain Man me murade bhari laye hain Bhagwan to nirakar sakar hai Rama ki leela ........ Duniya se oocha tera dham hai Santo ko sab path ka paigam hai Mandir me ho rahi jai jai kar hai Mandir tera saryu paar hai Dil se prabhu ji ko jisne chaha hai Usne jag me tum ko paaya hai Kadmo me prabhu le sansar hai Rama ki leela .........

Terj:-Nagin

Ban ram chale laxmanahu chale,sang chali janki maat re,ab kaun sambhale nagariya¤ Thandi-2 hawa chalat hai pawan chale purwai,thandi-2 pade fuhare pawan chale purwai Kaun vriksh tar bheejat hoihain ram lakhan dono bhai Are ha ram lakhan dono bhai¤ban ram..... Aage-2 ram lakhan chalat hai peechhe laxman bhai-2 Jinke beech me chalat janki shobha baran na jaee Are ha shobha baran na jaee Ram bina mori sooni ayodhya laxman bin thakurai Sita bina mori sooni rasoi kawan kare chaturai Are ha kaun kare chaturai Ban ram chale...... Kop bhawan me pita rowat hai bhitar rove mahtari Aaj kaikei badal fase aaj bani hatyari Are ha aaj bani hatyari¤Ban ram chale laxmanahu chale sang chali janaki maat re......

Ahilya Uddhar

Bahut der se main shila ban chuki thi Prabhu aate aate bahut der kar di Natija mere bhule chuke karmo ki Beetate beetate bahut der kar di Varsho se baithi main aasha lagaye Magar aap kyo itna deri lagaye Mujhe charan raj ki tumhari hai khwahish Chhupate-2 bahut der kar di Kiya paap maine sajan shaap deena Ho ja shila mujhe shaap deena Charan raj ke khatir yaha main padi thi Magar aap aaye bahut der kar di Bahut der se main shila ban.........

Terj:-Saachi kahu tore aawan se

Laxman kahe more aawan se pahale,niklev na rekha ke paar bhabhi Koi dusht gar chahe satana,bahar na hona hamar bhabhi¤ Laxman kahe more aawan se pahale............ Prabhu ke siwa mere koi na dooja,umka swar yaha aa karke gooja Ab hamne mana ki mere siwa,hai nahi koi sahay bhabhi¤ Laxman kahe more aawan se pahale......... Yah van tha rakshon ka dera,jab prabhu ne kiya yaha fera Vanya jeev yaha sab chain se rahate,aay gaee yaha par bahar bhabhi¤ Laxman kahe more aawan se pahale........ Kahe lakhan maa hua mera jana,jag me doshi mujhko na thahrana O.P.J. hain sewak tera,rakhana khyal hamar bhabhi¤ Laxman kahe more aawan se pahale............

Kaili ham kaun kasur

Kaili ham kaun kasur ,najariya se door kaila bhola Sabke tu dehala bhola,an dhan sonwa -2 Hamni ke beriya gaila bhool¤ Najariya...... Sab tu dehala bhola,mahala doo mahala Kotha atari bhola kotha atari Hamni ke jhopadi kabool¤ Najariya se...... Sabke tu dehala bhola heera moti sonwa-2 Hamni ke dekho desh door¤ Najariya se......... Sab ke tu dehala bhola mewa makhan malaiya Hamni ke bhagiya dhatoor ho¤ Najariya se......... Sabke tu dehala bhola kanthi mala harwa Hamni ke beriya gaila bhool¤ Najariya se.........

Terj:-Barbad kajarwa hoi

Manush tan bhagwan bina,chahe ketnaw singarwa hoi jaihai Hansa jab ud jaihai chala,barbad pijadwa hoi jaihai¤ Manush tan bhagwan Khate sote vishaee hote,chahe saajh sakarwa hoi jaihai Ant ramay yamraj ke ghar,ek nark saharwa hoi jaihai¤ Manush tan bhagwan bina Pahali doosari aur teesri tak,vaise gujarwa hoi jaihai Chauthe pan sut nari ka,tan tohar jaharwa hoi jaihai Digari na milihain kacha hari maa,chahe ketnav jhagarya hoi jaihai Jagdamba sharan sab gunaho ka,sab jor ke mujarwa hoi jaihai¤ Manush tan bhagwan bina

Chal ud ja re panchhi ki ab ye desh

Chal ud ja re panchhi ki ab ye desh hua begana hai Khatm hue us daali ke jis par tera basera Aaj yaha aur kal waha ye jogi wala fera Yah teri jaagir nahi hai char dinan ka mela Sada raha hai is duniya me kis ka aabo dana¤ Chal ud ja......... Tune tinka tinka karke nagari ek basayi Varsha me teri bhigi pankhe dhoop me garmi chhaee Gam na kar jo teri mehnat tere kam na aai Achha hai kuchh le jane se dekar hi kuchh jana¤ Chal ud ja.........

Batawa janani ram kahiya le aihain

Batawa janani ram kahiya le aihain Chaudah baras ke din kahiya waraihain¤ Batawa janani......... Ujadi nagariya ke kahiya basaihain¤ Batawa janani......... Phulwa na phoolay bhawarwa na dolay Ram ke viyogwa me bhogwa na bhawai¤ Batawa janani......... Bhukhiya na lagai piyasiya na lagai Batawa janani ram kahiya le aihain¤

A in badari saheb magay gawanwa

A-in badari saheb magay gawanwa Mata roway bahin samjhaway Bhai roway khad dagari¤ Saheb......... Hare -2 baswa ke doliya banaway Upra se wadhaway lal chadari¤ Saheb......... Char kon char khambha gadawle,ghumad ghumad mohe agiya lagaway E kaya nagari¤Saheb....... Kahat kabir suno bhai sadho,hari ke charaniya ma jeewan sudhari¤ Saheb..........

NIRGUN

Manush tan anmol more mitwa Kailev bhajaniya babu thore dinwa Man se abhiman mitao,lakh chaurasi se jiyara bachao Odh odh manai ke khol more mitwa Kailev bhajaniya......... Dhan daulat aur mahal atari,bairin hoigai baap mahtari Dharti bhaee damadol more mitwa Kailev bhajaniya............ Hinsa paap chhodav -2 vibhchari,bin guru na lagihai tohar gohari Ek din khul jaihai pol more mitwa Kailev bhajaniya.... Maas madira kai tum kihev hai ahari,madya pan kaike hoi gayav labari Bin guru phut bo jaise dhol more mitwa Kailev bhajaniya.........

NIRGUN

Ko kholay kapat kewariya ho satguru bin saheb Naihar ma kuchh gun nahi seekho Sasure ma bhaee hai fuhariya ho¤ Satguru mere sahab Apne man ki badi kulwanti Chhue na pave gagariya ho¤ Satguru mere sahab Paanch pachchis rahe ghat bhitar Kaun bataway dagariya ho¤ Satguru mere sahab Palatu das chhod kul jatiya Satguru mile sanghatiya ho¤ Satguru mere sahab

Terj:-Najar lagi raja tore bagle par

Mukh par murliya aur kandhe par kamariya Najariya na maro mor sawariya Panghat par paniya bharan gayi Rokat mor dagariya¤ Najariya......... Vrindawan dadhi bechan jaoo Dekh shyam ko main sharmaoo Phorat mor gagariya¤ Najariya......... Kanha van me raas rachate ham gopiyan ko bahut satate Kahati vraj ki gujariya¤ Najariya............ Kavi vinod main bali jaoo bari bari charnan sir naoo Kije kirpa ki najariya¤ Najariya............

Terj:-Neek lage tikukiya gorki

Shyam barsane chale vaidya banke Jholi kandhe pe daal chale ban than ke Galiyan aawaj lagayi,koi lega meri dawai Tab ek uth boli tum aiyo more bhai Ham hosiyar vaidya ladakpan ke Jholi kandhe pe daal chale ban than ke Beemar sakhi meri toli jo dekhan me badi bholi Behosh padi mahlan me tum usko khilao ek goli Dukh door hot bake man ke Jholi......... Sakhiyan ne bhed jab jana yah vaidya nahi hai kanha Yah roop chhipa kar aaye hamne inko pahana Dukh door vinod kare jan ko Jholi ............

Terj:-Batawa chaad kekara se kaha

Janm lehale mathura me khelay la gokul me Kanhaiya balepanwa me bada maja lela Ghar ghar me dahi makhan pyar se utray la Chadha jala sikhar par matki nihare la¤ Kanhaiya...... Apna to khala dahi gwal ke khiyaway la Matki bhi phod dela sakhin ke rijhaway la¤ Kanhaiya...... Sab sakhi mili juli deli orhanwa Bada pareshan karela natkhat akela¤ Kanhaiya...... Jhoot more lalna ke delu orhanwa Bharal bate ghar me hamre dahi au makhanwa Chhote bate ladka kaise chadhela akela Kanhaiya bale panwa me bada maja lela¤

Terj:-Mera pyar wah hai.........

Yashoda ke nandlala radha le sawariya Sab dukh door hue jab tera naam liya Meera pukare jab girdhar gopala Dhal gaya amrit ka vish bhara pyala Kaun mitaye jise tune rakh liya Sab dukh door hue...... Jab tere gokul pe aaya dukh bhaari Ek sahare par sab vipda hai tari Uth gaya govardhan jise tune tham liya Sab dukh door hue......... Naino me shyam base man me banwari Dukh bisray gayi murli ki dhun pyari Man ki mandir me sarar chaye chhaliya Sab dukh door hue......... Bhakt tumhare prabhu tere tumhe nish din Sab dukh door hue .........

Terj:-Meri chadhati jawani tadpe......

Mere dono nayanwa tarse.....wo......wo... Wada kiya tha tune shyam bihari do char din me aauga radha pyari Kuaja ke masti me hamko bhulaye Wada bhi karke shyam tu na aaye Mere dono nayanwa barre...wo...wo...2 Kho gaye shyam aaye na shyam Need hamari kanha tune churaya Yad me apne kanha tune rulaya Main raat din tadpu kaha gaye shyam Aaye na shyam-2

Terj:-Lahaga maga de ........

Murali maga de meri maiya basuriya le gayi radha ji churay ke Ab na jiyab bin basuriya,tu chalke maiya radha se magay de Kahti yashoda maiya maan meri batiya Itna na rowo lal mal mal ke ankhiya Basuri ki jaat hai kaun badi baat hai Sone ki maga banway ke Basuriya le gayi.... Teri basuriya lal aisi banwaugi Hire jawahar moti usme jadwaugi Madhur madhur ban se meethe muskan se Dekhegi radha lalchay ke Basuriya le gayi radha ji.......... Bas ki basuriya me pran bas jaee maa Bin murli ke jiyab ham nahi maa Murli hai bhed bhari maiya na tu kar deri De de basuriya jaldi se laay ke Basuriya le gayi radha.......

Terj:-Bada paresan

Mujhe paresan kihis hai maiya tor lalanwa Jamunwa jab main paniya gaili naay Pahale baah pakad kar kanha gagari mor girawla Gagagri girat mori chunari sarak gayi bikhar gayi mori choti Ulatai gwal bal sang leke hamra dahi chhinwaway Mujhe paresan kihis..... Jamunwa... Hamka gher-2 kai karle badanmala¤jamunwa... Phir jab jamun gayi nahane hamra cheer churawla Cheer chura ke kadam chadha baithe neeyat hoige khoti Hamra door -2 se takela badanwa¤Jamunwa

Terj:-Inhee logo ne........

Isee mohan ne-3 phod deeno gagariya meri Meri na mano maiya radha se poochho-2 Aage se aake rok deeno dagariya meri¤ Main to ja rahi thi maiya dahi bechan ko-2 Peechhe se aake faad deeni chunariya meri¤ Roj sataye maiya tero ye kanha-2 Peechhe se aake jhatak deeni kalaiya mori¤ Ram mandal ka vinay sunlo he kanhaiya Ek bar phir aa jaiho nagariya mori

Terj:-Main to raste se ja raha tha main

Main to panghat pe ja raha tha,gaiya chara raha tha Vanshi baja raha tha-2 Teri gagari footi to main kya karu Mast pawan jab van me dole,to krishna ji apni mata se bole Radha hai hamari ailan karta hu Main apne radha se pyar karta hu Raas van me racha raha tha,vanshi baja raha tha gopiyo ko suna raha tha -2 Kans mama jale to main kya karu Rawan ne kahana na mana wo sita ko jake churaya Nari chura ke usne paap kar dala Apni saari hasti barbad kar dala Dhong achha dikha raha tha nari chura raha tha Bhesh apna dikha raha tha -2 Uski lanka jali to main kya karu

Terj:-He ganga maiya tohe piyari chadhaibe

O jasuda maiya tanik sun lev ulhanwa Kanha ki sunlo khabariya hay ram Rasta me aile ghooghat pat kholale Mose marile najariya hay ram¤ Main yamuna jal bharan gayi thi Phorile mori gagariya hay ram¤ Main dadhi bechan jaat vrindawan Gwal bal sang lekar aawat Magat dadhi jabariya hay ram¤ Soone ghar me bahiya marore Phadi sar ki chunariya hay ram¤ Kavi vinod ab nahi rahugi Chhod dugi tohari nagariya¤

Terj:-Mere mahboob aaja lagalu gale jindgani

Leke vasudev mathura se gokul bhale Maa ki mamta khadi dekhati rah gayi Thi vivash koi bas devki ki na thi Lal jate khadi dekhati rah gayi¤ Hoke pooti na pooti bani aaj main Doodh chhaiya ko maiya pila na saki Kans maare sabhi lal mere yaha Main khadi aakh se dekhati rah gayi¤ Kab talak dukh uthau prabhu ai mere Jail me beetegi ye meri jindagi Lal mare gaye aakh ke samme Durdasha main khadi dekhati rah gayi¤ Devki roti khati pachhade padi Aake vasudev ladki ko lake diye God me leke harshit bhaee devki Toot kar aasuo ki ladi rah gayi¤ Kans ladki uthakar patkana chaha Boli gagan me jake pukara hai ye Mathura me ho gaya kaal paida tera Vinod mansha teri ab padi rah gayi¤

Terj:-Jhulani ka rang sacha

Murali ki dhun pe nacha hamar jiya Murali hi tan dhacha hamar jiya Kahen ki o bani re muraliya Kahen ki kate sacha hamar jiya Basen ke o bani re muraliya Prem ke kate sacha hamar jiya Gyan virag anurag bhara hai Jo sune soee nacha hamar jiya Aisi muraliya nahi jag me duji Naahi bana aisa sacha hamar jiya Kirtan mandal shyam sundar ki Prem kahani hai babha hamar jiya¤

Terj:-Laday lev akhiya

Khelay rahi lalana o jasuda maiya,kanchan ke jhula o resham ke dori Sawala kanhaiya yashoda ji gori,bajay rahi bajana o yashuda maiya¤ Aaj nagariya me dhoom macha bhari,janme bakhariya me krishna murari Anand bhaye angana ho yashuda maiya¤ Ram kare yash anand rahe bakhari,baje hamesha e jhanjh aur khajari Aghay gaye naina o yashuda maiya¤ Aaj nand baba lutay rahe sonwa, N.S.Chauhan ji gaay rahe ganya Amar rahe lalana o jasuda maiya¤ Khelay rahi lalana..........

Terj:-Nathuniya pe goli mare

Jasuda tohar kanha bhaile hoshiyar ho, Gagariye pe rori mare kanha tohar ho Kanha bedardi bada utpati Jamuna me jab ham jal bharne jati Rahiya me chhede kanha kare takrar ho Gagariye pe rori mare kanha tohar ho Sakhi ham nahay gaili jamuna ke oriya Cheer laike chadhge kanha kadamwa ki dariya Roee kalpi jal beech kari ham pukar ho¤ Gagariye pe..... Jhooth baat gopiya kahe hai banati Kahane se pahle sharam kyo na khati Bhoka bhala kanha hamar ho Gagariye pe..... Jhooth bataee hai ham tumka batiya Pahin ke nikari ham pur in ke patiya Chahe shyam se tu poochha ek bar ho Gagariye pe.....

Terj:-Hui aankh nam aur ye dil

Maiya ko jisne bhi dil me basaya Wo jeevan me hai sukh shakti paya Jisne bhi charno me hai sheesh jhukaya1,2 Wo jeevan me hai saara sukh paya Ha yahi mata ka sachbha darbar hai Tere kadmo me saara sansar hai Jisne bhi charano me hai phool chadhaya Wah jeevan me sukh shanti paya Maiya ko apne dil me basa leejiye Maa ki bhakti me tan man laga deejiye Jisne bhi dil ye apna bhakti me lagaya Wo jeevan me sukh shanti paya

Terj:-Tum agar dene ka wada karo

Durge maiya tu darshan de de mujhe,main sada teri poola karta rahu Maiya dware pe tere jo kodhi kha,wo to ro-2 ke kaya ko maag raha Maiya tu kodhi ko kaya de do,wah sada teri poola ko karta rahe!Maiya wo....maiya wo..... Teri leela hai kitani nirali he maa,teri mahima ko har pal gata rahu¤durge maiya..... Ham man basaye teri moorti,utaru maa ambey teri aarti Karuna tum karo maiya kasht tum haro,aake sharan teri pooja karta rahu Maiya wo......maiya wo......maiya wo.....maiya wo.....
Ham to tere..... Sookh chale aankho ke ashru maa bahate hue-2 Shair:- Apni chaukhat pe sajado ki nisha dekh le Kab se baithe hain dar pe tere maa dekh le Gawahi deti hai hamari dekh ke halat-2 Tere parvato ki chotiya dekh le Sookh chale aankho ke ashk maa bahate hue Ham gamo-3 ke maro ko deedar kab dikhaogi

Terj:-Tum to dhahre pardesi

Ham to tere balak maa kaise bhool jaogi Thokare lagane-3 ko dil kaha se laogi Dol rahi bhawaro me kistiya ummedon ki Shair:- Tere bin jaha me-2 rahmat karega kaun Mushkilon me aake hifajat karega kaun Bedard is jaha me tere bin maiya-2 Door sabki musibat karega kaun Dol rahi bhawaro me kistiya ummedo ki Banke tum khewaiya maa paar kab lagaogi Sunani padegi tumko maa bhakt ki pukare maa¤ Shair:- Jiddi bachcho ki ye aadat hoti hai Apni baat manwane ki inki fitarat hoti hai Karni padti hai maa ko tammana poori Are maa wo mamta ki murat hoti hai Sunani padegi tumko bhakt ki pukare maa Nahi to-3,jamane me sange dil lagaogi¤ Ek din to chhalkega jaam teri ulfat ka-2 Shair:- Maa bete ka balak ka ye rishta hota hai Sah sakti nahi maa jab bachcha rota hai Gam jamane ka usko chhoo nahi sakta hai-2 Aahosh me maa ki god me jab bachcha sota hai Ek din to chhalkega jaam teri ulfat ka-2 Kaise in toofano se maiya rok paogi¤ Sookh chale aankho ke ashru maa bahate hue-2 Shair:-...

Terj:-Ham tum chori se

Shair:- Tere darbar me mata sada insaf hota hai Wahi pata hai hamesha dil jiska saaf hota hai Jamane me chahe jitna gunah gar ho koi Tere darbar me maiya uska bhi gunah maaf hota hai * * * * * Jai jai jag janani maa,bhakt dukh harani maa Balak khada tere dwar,siwa tere duja sahara na koi¤ Yash ko tere sun ke,maa balak dware aaya Maa de de use sahara,har aasaon ko laya Ai maa jagdambey maa de de sahara mujhe¤ Maa prati pali jagdambey,tune deeno ko diya sahara Yah balak tere sahare maa,mujhe bhi de de sahara Dukh bhanjani sukhdayani,maa de de sahara¤ Na jap hai na tap hai,na buddhi aur na bal hai Karde daya ki drishiti maa,ye balak bada nirbal hai Ai maa jagdambey maa de de sahara maa¤

Terj:-Mera geet amar kar do

Jagdambe jag janani maa,asha ko poorn kar do Khali hai jholi meri,maiya jholi bhar do Na bhakti bhav mujhme,na kar pau darshan He singh wahini maa,dushto ka dalan kar do Mahishapur paapi ko,maa maa tune mara hai Majdhar fasi naiya,naiya ko paar kar do Paapo me chhupa hoon main,paapi hai ye mera man Bharat ki bharti ma,mera geet amar kar do¤
Tune mujhe bulaya sherawaliye,main aaya main aaya sherawaliye Sara jag hai ek banjara,sabki manjil tera dwara Oonche parvat lamba rasta2,par main rah na paya sherawaliye¤ Soone man me jal gayi bati,tere path me mil gaye sathi Mukh kholu kya tujhse maagu2,bin maage sab paya sherawaliye¤ Kaun hai raja kaun bhikhari,ek barabar tere sab hain pujari Tune sabko darshan deke2,apne gale lagaya sherawaliye

Terj:Maine kiya hai tumse pyar

Main balak nadan re maiya tohari bhawan me Juhi ke beech maiya bhawan bane hain Charo taraf maidan re maiya tohare bhawan me Ke ho chadhave dhwaja nariyal,ke ho chadhave phoolan har¤ Raja bhadhave dhwaja nariyal,rani chadhave phoolan har¤ Ke maage maiya andhan sonwa,ke ho maage vardan re maiya¤ Raja maage andhan sonwa,rani maage vardan re¤

Terj:-Deedi tera dewar diwana

Maiya tere dar pe main aaya,gungan tera hi main na gaya Mahima koi samajh na paya¤ Tumhi ne padhaya tumhi ne likhaya, tumhi ne uthaya tumhi ne giraya Mahima koi samajh na paya Tumhi deen bandhu aur patito ki paawan,hamesha kahati rahi jag paawan Jagat janani ambey jag aaya¤ Bhuja asht dhari ki leela hai nyari,karti ho maiya singh sawari Gale phoolan mala ati bhaya¤ Maha kali durga aur sita o mata,kahati tumhi ho deeno ki data Is das ko na daras dikhaya¤

Terj:-Aane se uske aaye bahar

Mata sherawali ke aaye jo darbar,karti maiya uska beda par Badi bholi bhali hai maa sherawali Dar pe tere jo aate,wo mage murade hain pate Bhar jati unki jholi,jo mahima tumhari hain gate Maiya ki mahima bhakton,ajab nirali hai¤

Terj:-Bheege choli bheege__________

Karu kar jori vinti tori aake bhawanwa nay Tani ek hamka daras dikha da lagal ba manwa nay Aadi shakti vardani mata,kara kalyanwa nay Manwa tadpe akhiya varse sookhal badnwa nay Singh wahini shatru nashini de da vardanwa nay Mahishasur ke mar bhagavlu harlu paranwa nay Dev danuj rishi naag muni sab pooje charanwa nay Teen lok me koi na mata,tor shasanwa nay Kirtan mandal pade paw he mata,mage maganwa nay Jag janani maa tumhari,kirpa se gavale ye ganwa nay

Terj:Sachi kahu more aawan se pahale

Sachi kahu tere charano me,lagal ba manwa hamar maiya Aaye sharan me hain ambey tumhari,sunle araj tu he maiya hamari Daide he mata dan daya ka,paapo ka hai sar pe bhar maiya Paapo ne hamko aisa hai ghera,charo taraf faila ghor andhera Paapo ka maiya kar de safaiya,hoga bada upkar maiya¤

Terj:-Hath me mehdi maag sindurwa

Jai janani maa dukh harani,ab tohse milanwa ho gaile Tohre daras bin he mori maiya,mora vyakul paranwa ho gaila Manwa tadpe akhiya barse,ghan ghor badarwa ho gaila Tohse bichhud ke he bhavtarni,patjhad ke sawanwa ho gaile Kodhi ki kanchan kaya,andhan ke nayanwa ho gaile Nirdhan ke an dhan sonwa,bajhin ke lalanwa ho gaile Dev danuj rishi naag manush,sab kar kalyanwa ho gaile Jogi jati gyani dhyani,sab brahm ramanwa ho gaile Bramha ke charo mukh se,mata ke gunganwa ho gaile Kahe das kar jor ke jai mata ke dhiyanwa ho gaile¤

Terj:-Gori hain kalaiya pinha de mujhe hari

Oochi hai chadhaiya maa sangati chadhke Charno me lagale sherawali maa Banke sawali maa aaye tere dwar par Darshan de de maiya aaye tere dwar par Bigadi bana de maa kismat jaga de Kab se khada hu tere aas me¤ Shighra se jo tere dwar pe aaye Dekh chadhai maa o na dar khaye Naam hai japna kage lal hai apna Mujh par tu kar de mehare waliya Mata shera wali main to tera hu sawali Meri jholi khali meri mata shera wali Mujhe apne dwar bulale Mujhe gale laga le Kab se main dekhu teri rahiya¤ Oochi hai___
Man laga jisne bhaja ek bar sita ram ko Tar gaya aur pa gaya hai wohi mukti dham ko¤ Meera baee tar gayi jab hari ko apna kar liya Tar gaya sadana kasai bhaj ke sita ram ko Soor tulsi tar gaye,papini ganika tari Bhilani shabri tari hai,jab japa hari naam ko Pootana bhi tar gayi tar,dekar jahar bhagwan ko Chinta mani kar prem prabhu se pa gayi surdham ko Kahke narayan ajamil,tar gaya kahte vinod Prem se sumiran kiyo,govind karuna dham ko¤
Rahi rahi jiya ghabraye,sakhi re manmohan na aaye Bhool gaye hain mathura jake,kubja ke sangh preet lagake Kaun unhe samjhaye sakhi re manmohan na aaye Uddhav mathura se gokul aaye,manmohan ki paati laye Likh likh yog padhaye Tum hi prabhu ghat ghat ke wasi,ham hain darshan ki abhilasi Vinay vinod sunaye,sakhi re manmohan na aaye¤

Terj:-Naee jhulani ki chhahiya____liya ho

Bhado rain andhiyariya mohan mathura me janam liyo re Devaki boli apne piya se,lekar lalan ka laav yaha se Nahi jaag jaai sagari nagariya¤ Dwarpal sab soy gaye hain,mohan kans ke kaal bhaye hain Khul gayi bajar kewariya¤ Naar bewar sahit vasudev ji,leke lalan ka chale waha se Pahuch gaye nand ke duwariya¤

Terj:-Naee jhulani ki chhahiya____liya ho

Ham bhole baba lagi tohare sharniya,tani darshan dikhay diha ho¤ Mahla du mahla shiv ke manhi na bhave,tuti jhopadiya kaha paai Bhola darshan_____ Puri kachauri shiv ke manhi na bhave,bhag dhatur kaha paai Bhola darshan_____ Hathi aur ghoda shiv ke manhi na bhave,basha bail kaha paai Bhola darshan_____ Kirtan mandal sab araj karat hai,ek bar darshan dikhay da Bhole tani darshan dikhay diha ho¤

Terj:-Tum aaj to patthar barsa lo

Sagar ke liye laxmi pati,girija ke pati parvat ke liye Jeevit hain abhi brahmani pati,sansar ke is rachana ke liye Indra ne indrasan ke liye,arawat hathi jeeta apne liye Jeevit hai abhi kaurav pandav,bharat me mahabharat ke liye Sagar ko laagh lanka ko jala,sita ki khoj laga dala Duniya me sab kuchh sambhav hai,is ram bhakt hanumat ke liye¤

Terj:-Tum Aaj to patthar barra lo

Ghanshyam tumhara gar mujh pe,ek pal ka najara ho jaye To bhagya hamare khul jate,jeevan ka sahara ho jata¤ Is jeevan roopi naiya ke,mallah hamare tumhi to ho Imdad hamari kar dete,kisti ka sahara ho jata Kyo deen bhalai hai bhagwan,har musibat ka mara Apne pahalu me bitha lete,jeevan ka sahara ho jata Sab papin me hai naam bado,tum paap uddhark kahlate Ab aaya sharan me bhagwan teri,arji meri swikar karo Mere dukho ko gar meto to,nirwah hamara ho jata

Terj:-Aaye ho meri jindagi me tum bahar banke

Terj:-Aaye ho meri jindagi me tum bahar banke Itna to karna swami jab pran tan se nikle Govind naam kahhar tab pran tan se nikle Shri ganga ji ka tat ho yamuna ka vanshi wat ho Aur sawra nikat ho jab pran tan se nikle Shri vrindawan isthal ho mukhade me tulsi dal ho Shri vishnu charan ka jal ho phir pran tan se nikle Sammukh me sawara ho vanshi ka swar bhara ho Tirchhi charan dhara ho jab pran tan se nikle
Laj bacha murali wale yashuda maiya ke chhaiya tumhi ho Krishna govind mohan murari shyam sundar kanhaiya tumhi ho Kaurav ko tumhi ne pachhara grah ko mar gaj ko ubare Main sharan me khada hu tihare meri bigadi baniya tumhi ho Tod karke pratigya kanhaiya mujh besahare ko de do sahara Aaj kirtan mandal hai pukare meri naiya ke khivaiya tumhi ho
Darbar me sachche sadguru ke dukh dard mitaye jate hain Duniya ke sataye log yaha seene se lagaye jate hain Yah mahfil hai mastano ki har shakhash yaha par matwala Bhar bhar ke jaam ibadat ke yaha sabko pilaye jate hain Iljam lagane walo ne iljam lagaye lakh magar Teri saugat samajh kar hi ham sir par uthaye rahte hain Kyon darte ho ye jag walo is dar se sheesh jhukane se Ai nadano is dar pe to sar bhet chadhaye jate hain Jin pyaro par ye jag walo ho khas inayat sadguru ki Unko hi sandesa aata hai aur wo hi bulaye jate hain
KAUWALI Kaisa sundar jann tumko heera mila Tum unhe gar bhulao to main kya karu Ram ka naam mukh se liya na kabhi Vyarth jeevan gavao to main kya karu Fas ke maya ke fande bhula sab diya Kabhi bhagwan ka bhakti kiya nahi Tu bhatakta idhar ka udhar roj din Lakh chaurasi jaye to main kya karu Maas madira hamesa tu khata raha Aur sathiyo ke man ko lubhata raha Tere jeevan ki naiya bhawar me padi Beech me gota khaye to main kya karu Maar dandon se yamdoot devenge jab Baap beta na koi dikhai rade Ghar ki triya talak saath degi nahi Us dam aasu bahaye to main kya karu Ram ka naam bhulane se sab dukh mile Khote karmo ki tab yad aave nahi Kahte das vinod karni ka fal mila Mukti phir na paye to main kya karu
Kewat se bole Raghuvar naiya nikat me lana hai Hai paar mujhe jana deri nahi lagana Kewat vachan uchara yah paaw hai tumhara Jo patthar se naari tara darta hai dil hamara Bhagwan hamari naiya ho jai na janana Yah prashan jab kiya to bhagwan has diye tab Maagi murad paya kewat khushi manya Naiya kinare laya sita sahit vithaya Lekar chala hai naiya hokar magan deewana Jab paar kinihi naiya dene lage utraiya O P J aaj lagaya prabhu se vachan badhaya Jaau jo ghat bhagwan hamko na bhulana
POORVIE Aayo main tohari duwariya,kewariya khola re mai Kanchan thar kapoor ki bati,aarti utaru main tohari duwariya¤ Na magu sona na magu chandi,tohari darshan ker bhikhariya¤ Jo maiya tor darshan mili jaai,mora janam suphal hoi jaai¤ Bahut aarti dhoop kai daara,nahi darshan dihiu mahtariya¤ Bhaee prasann mori ambey maai,dihiu gyan updesh yah beriya Jau yah maiya ker pooja karat hai,vijay safal yah beriya¤
Odhike odhaniya kanha gaile barsana,ho manharin banke nay Sir pe delariya majedar ho maniharin banke nay Godwa me kadwa chhadwa nake maa bhesariya Lali pili chudila kanha dharle ba delariya Ho manharin____ Bane hain gujariya ghanshyam ho maniharin banke nay Le lo le lo chudila brij naari ho maniharin banke nay Apne mahaliya se boli radha rani ho maniharin banke nay Aao aao hamari duwar ho maniharin banke nay He maniharin chudila detiv na sarhana ho manharin banke nay Dekh mohe saiya ji hamar ho maniharin banke nay Ram mandal se poora hoigai armanawa ho maniharin banke nay Hoi gaye bhetiya deedar ho maniharin banke nay
Chalat 2 mora pauwa dukhela ,are ho satyawadi raja ho Kashi ho nagariya ketani door ho satyawadi raja Raja bik gaile dom ke hathwa ho satyawadi raja Rani bikeli vipra haath ho satyawadi raja Phulwa tode gaila mali phulwariya ho satyawadi raja Rohit ke dasle kala naag ho satyawadi raja Wahi shamshanwa ke raja rakhwarwa ho satyawadi raja Rani fadal achara apan ho satyawadi raja Raja ke tapsya se malik khush bhaila ho satyawadi raja Aay gaile swarg se viman ho satyawadi raja Raja rani teeno prani sanghwa lihale godiya Pahuch gaile malik darbar ho satyawadi raja Kashi ho______ketni door ho satyawadi raja
Neek lage suratiya siya var kai Matge mukut makra krit kundal Gale motiyan ki mala padi Neek lage suratiya siya var kai Paaw me paijaniya sohe Odhe odhaniya awadh pur kai
Jiyara dhare nahi dheer ho bina hari ke Jab sudhi aaway pyare ram kai Naina dhurela jal neer ho bina hari ke Jab se bichhude khabar nahi leenhi Bhaile kaun takseer ho bina hari ke Sookhi kaliya bhawar bin jaise Jas jal bich meen ho bina hari ke Ritu vasant jas chahe koiliya Uthe virhan peer ho bina hari ke Jas brichha paat peepal ka Pawe na sameer ho bina hari ke Ram mandal is jag me hote Jas badhal faqeer ho bina hari ke

Terj:-Kathar ke kowa

Jab sendura suhagin tu bangailiv Jab aai lalanwa to ka hoi Ka hoi ho rama ka hoi Jab aai lalanwa to ka hoi Muni kai vardanwa tu le lihiu E joda lalanwa ka hoi Jab aai___
Mera ghanshyam se kabhu to milan hoibe kari Dhyan jo hari ka dharab kabhu to taran hoibe kari Bade dayal hai ve devki nandan bhagwan Prem se unka bhajab to paap haran hoibe kari Pukar sunkar sada bhakton ke wah daudte To mera vinti suni poora param hoibe kari Deewana banke bhakta raha main duniya me Nath yah jeebh to tohari sharan hoibe kari Prabhu kh daya se jab ghor pataki tare Vinod ke tare ke jatan hoibe kari
Laaj meri agar kho gayi is ghadi, prabhu ko aane na aane se kya phayada Gar main nangi hui is sabha beech me,paanch pati hai hamare to kya phayada Sote kis need me ho yashoda kuwar,aake yah dukh hamara mitate nahi Gar na aaye bachane ko ijjat meri,baad me muh dikhane se kya phayada Ter tumko kiya tha labhi grah ne,jaan uski bachane ko paidal gaye Laj abla ki aakar bachao prabhu Fakt murli bajane se kya phayada Itna sunkar amit roop dharkar prabhu,jaake khud chhip gaye beech saadi prabhu Kheechate kheechate dusht jab thak gaya,bola ab kheechane se kya phayada Baat sunkar hasi drorati us ghadi,lage sab sochane kaurav sabhi Rar prabhu se machane se kya phayada
Paani ke waste chala shrawan kumar tha Dhokhe me mriga jaan k dashrath ka war tha Lagte hi vaan bola ha mata pita hamare Main mar raha yaha piyasa tu waha mare Raja chale hain paani pilane ke waste Andhe ne kaha paas mere kyo nahi aate Dashrath ne andhi andha se sab haal kah diya Ghayal jigar ne raja ko kuchh shraap de diya Mujhko mila do mere ladale se abhi hamne ji bhar ke dekha nahi hai DRISHTANT Samay aaya to kaikei ne do vardan liya Bharat ne raj tilak ram ko vanvas diya Ram sita ji chale laxman bhi chala Raja dashrath pe aaj aa gaee aphat ki balaa Maag lo raj bharat ko khushi se de duga Ram tukda hai dil ka van ko kaise bhejuga Pita ka maan vachan van ko shri ram chale Koi lauta le mere lal ko mil jau gale Na ja ram lochan mere samne se abhi hamne ji bhar ke dekha nahi hai
Na jao mere ladale chhod tanha Abhi hamne ji bhar ke dekha nahi hai Meri jindagi ke sahare na jao Aahi hamne ji bhar ke dekha nahi hai Shair:- Phool ko todane Rohit chala phulwari me Saap ne kaat liya lal ko phulwari me Suna majra maa tarawati bilkhani Rajya bhi chhoot gaya bik gaye teeno prani Hay bhagwan jara si raham na aaya tujhe Bahut bulaya kuwar ne kuba nahi kholi Lal ko seene se apne laga ke u boli Tanik muskura de mere dil ke tukade abhi hamne ji bhar ke dekha nahi hai Shair:- Lash ko god me le chal padi dafan ke liye Ek kaudi nahi tha paas me kafan ke liye Saadi ka ek tukda cheer gayi shamshan par Pahara tha harishchandra ka marghat mashan par Aage badhi jyo lash jalane ke waste lai ho mahshool chukane ke waste Antim samay na sat se digao na hame Tara Main janta hu lal ye rogit hai hamara Phir se muh dikhana mere ladale ka abhi hamne ji bhar ke dekha nahi hai.
Jab tulasi gharwa se chale sasurariya Raat andheri rahe meh badariya dhare Bijuliya chamak rahi sujhe na rahiya here Bed ko dekh k tulsi ne nahi mana hai Chale raat me hi koi nahi jana hai Pahuche nadiya me waha thi nahi naiya Agam athah bahe pawan chale purwaiya Aawat dekha ek murda najariya¤ Baith murda pe gaye tanik dar nahi aawa Usee se paar gaye kuchh samakh na aawa Pahuche sasurar jab wo band kewari pawa Wahi khidki me ek saap najariya aawa Sapwa pakari lasigai jaha rahi ratna gujariya¤ Pahuche adda pe to apan mehariya paye Bhawa mahani jab lagal sejariya paye Ratna poochhan lagi ki band kewariya bate Kaise aayau tu balam badal badariya bate Ratna k baat sun k tulsi batawe lage Jaun khidaki ma raha saap dikhawe lage Itna bachan suni jab boli hai mehariya¤ Piya pagal bhayo punah wahi dhokha me Sach batawa tumhe hamre lage pathwa k Hari se prem karo jeevan suphal hoi jai Tulsi ji kai wahi bichhud gai najariya¤
Kya lekar tu aaya jagat me,kya lekar tu jayega Soch samajh le ai man moorakh akhir me pachhtayega Is duniya k that bat me,kyon tu itna phoola hai Man pratishtha aur pad pakar,kyon tu itna phoola hai That bat dhan mal khajana,sab yahi pada rah jayega¤ Bhai bandhu aur mitra pyare,marghat tak hi jayenge Swarath ke do ansu dekar,laut laut ghar aayenge Koi na tere sath chalenge,kal tujhe hi kha jayega¤ Kanchan jaisi kaya teri,ek din jalai jayegi Jis nari se neh dhare tu,tujhko dekh dar jayegi Char mas tak yad rahega,phir bhi bhool tu jayega¤
Tyag do sab burai bhalai karo,ek din is jagat se chale jaoge Karm jaisa bhala ya bura ho koi,ant me uska phal tum swyam paoge Ram Rawan ka adarsh seekho sabhi,naam bete ka Rawan na rakhte kabhi Dekho geeta ramayan me praman hai,Ram k naam se mukt ho jaoge Kahte Rawan ko sab koi paapi bada,is liye usko dukh bhogana hi pada Jag me do marg hain dharm aur adharm,jao jis marg pe vaisa kahlaoge Kans au Krishna ka dekho praman hai,dusht tha kans ka bhi kalyan hai Kans k naam se sab ashubh mante,Krishna ka naam kaira harshaoge Bikal das kahte hain sab ke liye,koi mane na mane kahke chal diye Beej dukh sukh ka daloge jaisa koi,aakhiri me wahi tum sabhi paoge.
Le kaha man manav na barbad kar Aisa tan phir milega dubara nahi Ye hai anmol tan iski keemat nahi Nasht hone pe hoga gujara nahi Ye hai kalyan kari subhag tan mila Tere bagon me hai phool sundar khila Paya subh tan hai sadhan bhajan khud karo Hai jagat me kisi ka sahara nahi Hai heera ratna tan na jag me gawao Sant sadguru se hove uddhar tera Aur kuchh bhi jagat me chara nahi Sab ho manav ka kartavya palan karo Sant guru jan ka seva sab hirday dharo Shudh chetan akhand sab abinasi ho Bhool se hi baho bhava ke dhara nahi He bikal sant dil me bithaya karo Maan apman ko tyag pag pe paro
Mujhe hai kaam ishwar se jagat ruthe to rutthan de Kutumb pariwar sut dara mal dhan lok lokan ki Prabhu ka bhajan karne me agar chhute to chhutan de Baith sangat me santan ki karu kalyan main apna Lok duniya k bhogo me mauj lute to lutan de Prabhu k dhyan karne me lagi dil me lagan meri Preet sansar vishyo se agar tute to tutan de Dhari sir paap ki matki mere guru dev ne patki O brahmanand ne patki agar phoote to phootan de
Ter bhakton ki sada sunta murliya wala Apne bhakto pe daya karta muraliya wala Dusht ne khambh me prahlad ko jab bandh diya Fadkar khambh nikal aaya muraliya wala Bhakt narsi par jab karj adhik badhate dekha Aaya khud hundi chukane muraliya wala Sabha k beech jab roi dropadi nari Aaya jhat cheer badhane o muraliya wala Pakad jab grah ne liya gaj ne pukara rokar Aa gaya gaj ko bachane muraliya wala Bhan jo karta rahe ram narayan man se Ek na ek diwas milata muraliya wala

KAUWALI

Jo kuchh mujh par gujarti na puchho Kuchh batane k kabil nahi hai Shyam ne is kadar julm dhaye Jo sunane k kabil nahi hai Prem ki aag dil me lagakar Dur najaro se wah ho gaye hai Kya pata tha ki bedard mohan Dil lagane k kabil nahi hai Unhi k viyog me bani hu viyogan Rote rote nayan jal bhi sookha Chahta hu unhe bhool jau Par bhulane k kabil nahi hai Kabhi main unki thi wah hamare Aaj kyo kar rahe hain kinare Kya karu dil se majboor hu main Wah yad aane k kabil nahi hai Virah me rat din main tadapti Magar unko daya bhi na ati Kavi vinod raham mera dil hai Raham khane k kabil nahi hai
Jiske nahi buddhi to guru gyan kya kare Nij roop ko jana nahi puran kya kare Ghat ghat me jyoti ka prakash ho raha Milta na das bhav to phir dhyan kya kare Rachana prabhu ki dekh k gyani bade bade Pave na koi par to nadan kya kare Karke daya dayal ne manush janm diya Banda na kare bhajan to bhagwan kya kare Sab jeev jantuon me jisme nahi hai daya Brahma nand vrat name punya dan kya kare
Kisi devta ne aaj mera dil chura liya Duniya ki khabar na rahi tan ko bhula diya Suraj wo na tha na chand tha na vijali thi waha Ekdam ajab shan ka jalwa dikha diya Rahta tha sada pas me lekin chhupa hua Karke daya dayal ne parda utha diya Phirse jo aankh khol k dhudhan laga use Gayab tha najar se soi phir pas pa liya Karke kasur maph mere janm janm ke Brahma nand apne charno me mujhko laga liya
Aphsos moodh man tu muddat se so raha Socha na yeh ki ghar me andher ho raha hai Chaurasi lakh manjil tay karke muskilon se Jis ghar ko tune dhudha us ghar ko so raha hai Ghat me hai gyan ganga usne na mara gota Trishna k gande jal me is tan ko dho raha hai Anmol swas teri papo me ja rahi hai Ratno ko chhod kankan aur kanch dho raha hai Sansar sindhu se tu kya khak par hoga Vishyo k sindhu of jab kisti dubo raha hai
Ummeed hai ki unke hum khak sar honge Jo premiyon k pyare jeevan adhar honge Vaise to unke premi lakho hajar honge Par humse deen durlabh bas do hi char honge Gar bar bar unki najaron me khwar honge Phir bhi gulam unke hum bar bar honge Jeetenge hum jo unse jeevan nisar honge Harenge hum jo unse to gale ka har honge Unke charan ki nauka pakar sawar honge To bindu bhi kisi din bhavsindhu par honge
Bheem balwan gaye van me pushp lane ko Raah me baithe the hanuman ajmane ko Poochh phailaye the hanuman raah me baithe Gada ki take lagaye the bal dikhane ko Bheem ne unse kaha poochh utha lo apni Kyoki jauga van beech pushp lane ko Bole hanuman agar tumhe van me jana hai Hata k poochh chale jao pushp lane ko Krodh me bharke chale poochh ko hatane ko Hila talak na sake the gaye the uthane ko Nam hanuman mera putra pawan ka hu main Aya hu tumko apna sakha banane ko
Kya khabar thi mujhe aaj k yuddh me Vaan laxman k seene se lag jayega Pahale dukh to pita k maran ka hua Teesare bhaiya hum ko chale chhodkar Tere dam me mera dam nikal jayega Hum laut awadhpur jaihai mata se kya batlaihai Hasihai sab log logai triya k khatir bhai Khoi laxman ki jan batla de laxman bhaiya Tere kaha lago hai vaan re batlade laxman bhaiya Kaise tu soy raha hai tera bhai roy raha hai Meri sankat me hai jaan re batlade laxman bhaiya Saath lekar ayodhya se aaya tha main Kya mukh lekar ayodhya ko jaunga main Gaali denge ayodhya k nar nari sab Dag seene me mere lag jayega Bhai bhai ka gam hota bhai bada Ai vidhata kare arj takta khada Karde apni najar ka isara jara Ujada gulshan ai phir se samhal jayega
Aaj shree devi ji suyash ko gate hain Badi saj dhaj ke sab khushi manate hain Chaubhuji roop amit apki mahima sohe Darshan karne se sabhi paap kat jate hain Hath me khadag aur khappar ki chhata hai nyari Dekh kar roop sabhi dusht dahal jate hain Mansa vacha aur karmna se jo kare bhakti Kam ko siddh sabhi aur n bhay khate hain Kare yeh kavi vinod astuti teri mahima Dou kar jod k charno me sir jhukate hain
Anand roop bhagwan kis bhati tujhko pau Tere samip swami main kis tarah se aau Anupam param chhabile bin rang ras rangile Kandak sakha hai phulwa kya tere sar chadhau Sukh mool mukti rupam mangal kushal swarupam Ghadiyal shankh ko kya sanmukh tere bajau Ganga hai teri dasi sewak suraj hai tera Tere sharir par kya do chullu jal chadhau Chhote das tere ravi chandra hain upasthit Karte hain nit ujal ghrit deep kya hain Shri laxmi hai teri nishdin charan ki chori Taba ka ek paisa main nath kya chadhau
Tu to hitkari maiya jan jan ki Meri bigadi bana de maiya bhaktan ki Hathawa me veena sohe kamalwa me asan Sari duniya me maiya tumhari hai shasan Hum sab phool tere upwan ki Kehu pukare maiya kahi kahi sarad Kehu pukare hey bhagya visarad Sabki lalsa tere darsan ki Humka suna de maiya veena ke tanwa Khush hoke humra k de de vardanwa Vinti karab tere charanan ki Asra se aye maiya tohre duwariya Humra k vigdal ba jiwan kahaniya Karde murade puri mere man ki

Vandana ganpati ki kije

Vandana ganpati ki kije Kar me daya patra ki poojan Hathi mukh nirmam so dhan Uttam kul shiv sut ki kije Jako nam japat dukh bhage Mook bake uske sukh jage Kasht nivaran dukh bhanjan ki kije Bahra sune karat karm nana Jo sumirat kar kare jal pana Sab poojan me pratham vrat kije Shiva bhakti gosai pratham Charnan lau dhar poojan ki kije

KIRTAN DHWANI

Kya sindhu jagtaran mohan Murli dhar nandlal hare Radha ballabh jasuda nandan Goverdhan gopal hare

Gajanan tumko main kaise manau

Gajanan tumko main kaise manau Yeh chhoti moti hath gajanan tumhare Sawa man k kangan main kaise pahnau Yeh chhote mote paw gajanan tumhare Sawa man k payel kaise pahnau Yeh chhoti moti gardan gajanan tumhare Sawa man k har main kaise pahnau Yeh choti moti kamar gajanan tumhare Sawa gaj ki dhoti main kaise pahnau Yeh chhoti moti sud gajanan tumhare Sawa man k laddu main kaise khilau

Gajanan tumko main kaise manau

Gajanan tumko main kaise manau Yeh chhoti moti hath gajanan tumhare Sawa man k kangan main kaise pahnau Yeh chhote mote paw gajanan tumhare Sawa man k payel kaise pahnau Yeh chhoti moti gardan gajanan tumhare Sawa man k har main kaise pahnau Yeh choti moti kamar gajanan tumhare Sawa gaj ki dhoti main kaise pahnau Yeh chhoti moti sud gajanan tumhare Sawa man k laddu main kaise khilau